Importance Of Attitude
Ek aadmi mele mein gubbare (Balloons) bechkar apna guzara karta tha. Uske pass laal, neele, peele, hare- charon rang (color) ke gubbare the. Jab kabhiuski bikri (sale) kam hone lagti, tab wo helium gass se bhra gubbara hawa mein chhod deta. Bacche (kids) use udta dekh kr, vaisa he udne wala gubbara paane k liye machalte. Bacche usse gubbara khareedte aur is tarah uski bikri fir baddh jaati. yeh silsila din bhar chalta rehta.
Ek din veh aadmi baazar mein khada gubbare bech rha tha. Achanak use mehsoos hua ki peeche se koi uska kurta kheench rha hai. Usne peeche mudkar dekha to ek chhota bacha khada tha. Us bacche ne gubbare wale se poocha "agar aap kala (black) gubbara chhodenge toh kya wo bhi udega?"
Bacche ki baat uske dil mein lagi aur usne pyaar se javaab dia, "bete, gubbara apne rang (color) ki vajah se nahi udta, balki uske under kya hai, is vajah se he wo uper jaata hai"
Theek yahi baat hamaari zindagi par bhi laagu hoti hai. Keemti wo cheez hai, jo humaare under hai. Aur wo cheez jo humein uper ki or le jaati hai. Wo humaara nazariya (ATTITUDE) hai.
ConversionConversion EmoticonEmoticon