Steps To Building A Positive Attitude ~ RKReviewZone

Steps To Building A Positive Attitude

Attitude

Steps To Building A Positive Attitude

अच्छा नज़रिया बनाने के उपाय 

Bachpan mein jo bhi nazariya hum banate hain, wo poori zindagi saath rehta hai. Isme koi shaq nai ki ye behad aasaan aur badhiya hoga ki kacchi umer k dauraan he hum sahi nazariya apnayen. To kya iska ye matlab hai ki agar kabhi jaan-boojhkar ya galti se hum nakaraatmak aur bura nazariya apna lete hain to usme bandhe he rahenge?  Zahir hai, bilkul nahi. To kya hum badal sakte hain? Haan

Aap kaise ek accha nazariya bnakar use kayam rakh sakte hain?

  • Accha nazariya bnane wale usoolon ko jaane.
  • Accha banne ki iccha rakhen.
  • Un usoolon ka paalan karne karne k liye nishtha aur anushasan ko apnaayen.
Motivate

Vaatavaran, siksha aur tazurbe k bavjood ek samajhdaar isnsaan hone k naate humare nazariye k liye kon zimmedaar hai?

Hum khud zimmedaar hain. Zindagi mein kabhi-na-kabhi humein zimmedaari kabool karni padti hai. Hum khud ki doshi maanne k bajaye har vyakti aur har cheez ko doshi thehrate hain. Ye humare uper hai ki har subah hum apna nazariya khud tay kare. Samajhdaar insaan hone k naate, ye zaroori hai ki hum apne vyavhaar aur kaam ki zimmedaari kabool karein.

Attitude Pic

Galat nazariye wale log apni naqamyabi k liye poori duniya, maa-baap, jeevan saathi, arthvyavastha aur sarkar ko doshi dehraate hain.

Climb

Aapko apne ateet (past) se door hatna hoga. Apne beete huye kal ki dhool jhaadkar sahi raasta apnayen. Apne sapno ko batoriye aur aage badhiye. Sacchayi, imaandari aur acchayi jaisi cheezon ki soch, humaare dimaag ko acchi soch k daayre mein le jaati hai.

Attitude3

Previous
Next Post »